Wo kagaz ki kashti wo barish ka paani
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani
Mohalle Ki Sabse purani nishaani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naan
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani
Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani
Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani
Sath Chalny may jo maza ha
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Hm Unhi say Muhabat karty han
Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain.
yeh kaisi chahat hai yaaro,
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain
Chahat ki mehfil may bulaya ha kisi nay
Chahat ke mehfil main bulaya hy kisee nay,
Khud bulaa ker phir sataya hy kisee nay,
Jab tak jali hy shama jalta raha parwanaa,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hy kisee nay
Armaan mere raiza raiza ho gye hain,
Yun kil k aangan sy giraya hey kisee nay,
Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hy kisee ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kr k kisee ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hy kisee nay,
Sangdil jo tha aaj woh b ro parha
Us ko bhi tarpaya hy kisee nay,
Aik Ajnabi ka Samna
bheer may aik ajnabi ka saamna accha laga…
sub se chup ker woh kisi ka dekhna accha laga…
surmae ankhon k neechay phool se khilne lage…
kehte kehte,kisi ka sochna accha laga…
baat to kuch bhi nahi thi laikin uska aik dum…
haath honton per rukh kar rokna accha laga…
dil may kitne ahed baandhe the bhulane k usne….
woh mila to sub irade torna accha laga..
chae may cheeni milana us ghari accha laga…
zare-lub wow muskurata ‘shukriya’ accha laga…
is adae jan ko may bura kaise kahon…
jub bhi aya saamne woh bewafa accha laga…
Waqat suhana hota ha
Waqt suhana hota hai,
jab dil yeh deewana hota hai,
jab yeh intazaar hota hai,
aur tarasti nigahon ko deedar hota hai!
yeh Waqt suhana hota hai,
Waqt suhana hota hai,
jab koi apana paas hota hai,
nigahon main ikarar hota hai,
her dhadkan main uska naam hota hai,
yeh Waqt suhana hota hai!
Zara tham tham k barsa kar
Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar
Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar
Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar
Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr
Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar
Wo 1 din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar
Badnam mery pyar ka afsana
BaDNaaM MeRe PYaaR Ka AfSaNa HuWa Hai
DeeWaNe Bhi KehTe HaiN Ke DeeWaNa HuWa Hai
RiShta Tha TaBhi To KiSi Be-DaRD Ne ToDa
ApNa Tha TaBhi To Koi Be- GaaNa HuWa Hai
BaDaaL Ki TaRha Aa Ke BaRaS Ja kisis DiN
DiL Aap Ke Hote HoYe WiRaaNa HuWa Hai
BaJte HaiN KhaYaLoN MaiN TeRi YaaD Ke GhuNhRu
KuCh DiN Se MeRa GhaR Bhi PaRi KhaNa HuWa Hai
MuSaM Ne BaNaYa Hai NiGaaHoN Ko ShaRaBee
JiS PhooL Ko DeKhooN Wahi PaiMaNa HuWa Hai
Tum muhabt mosam ki tra nibhaty ho
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.
Mujy Zid nahi
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao
Sari zindgi may ik pal to esa ho
Sari zindgi mein
Ik pal to ESA ho,
.
“Jo Tera/Mera Ho”
.
Jis mein koi tesra na ho,
Hum door tk 1 dosre se
Batain krte Chalty jayin,
.
Aur un baton ko sun ny wala,
Or koi na ho,
.
Bas main Or tum Hon,
U hi bethe bethe ksi choti si baat pe,
Ham hans paren hanste hanste Aankhon sy,
Aansoo Nikl paren,
.
Un Aansoun ko saaf karny wala Or koi Na Ho,
Bas main Or Tum Ho,
A kash Saari Zindagi Main,
Ek pal to Aisa Ho Jo sirf Mera\Tera Ho
Sirf Tera/Mera…
Lekin rehny do.....
“Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.”
Tum may pehli c baat nahi
Us Ne Kaha
Tum Mein Pehle c
Baat Nhi
Me Ne Kaha
Insan Hon Koi Science
Ki Ejaad Nhi
Us Ne Kaha
Ab b Ksi ki Ankho’n
Me Duub Jaty Ho?
Me Ne Kaha
Bawli Ho Kia ?
Ankhei’n Hyn Koi
Talaab Nhi
Us Ne Kaha
Q Tuut k Chaha Tha
Mjhy Itna ?
Me Ne Kaha
Dimagh Se Pedal Tha,
Jis Ka Koi Jawab Nhi
Us Ne Kaha
Bhuul Ja Mujh Ko
Me Ne Kaha
Abay Tu Hy Kon?
Mujhy Tu Ye b Yaad Nhi ..
Ik rishta jo abhi ban rha ha....
Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.
Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.
Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.
Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.
Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.
Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.
Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle
Chal chalty han us par sanam....
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam
Apna ehsas mar na jay kahi.....
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin
Phir kisi ki yad nay jagaya muj ko....
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
Guzar gai raat ankho ankho may.....
Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main
Teri nigha agar meharban ho jay....
teri nigaaah agar meharbaan ho jaye
main jiss zameen pe hoon wo aasmaan ho jaye
agar hai ab bhi tum,hen shak meri wafaon per
to phir ik baar mera imtehaan ho jaye
khuda se ye dua karta hoon har namaaz k baad
tamaam mulk main amno amaan ho jaye agar meharbaan ho jaye
main jiss zameen pe hoon wo aasmaan ho jaye
agar hai ab bhi tum,hen shak meri wafaon per
to phir ik baar mera imtehaan ho jaye
khuda se ye dua karta hoon har namaaz k baad
tamaam mulk main amno amaan ho jaye
Bynam musafir.....
Be ñåm müsåfir hööñ,
be nåm såfår merå,
Kis råh ñikål jåöñ, küch keh ñåhi såktå..
Beñåm meri måñzil beñåm thikåñå håi,
kis dår påy måin rük jåöñ,
küch kèh ñåi såktå..
Iss påår tö röshåñ hå sårå merå råstå,
Üs påår åñdhèrå hö,
Küch keh ñåhi såktå..
Tiñkåy ki tåråh måin bhi beh jåöñ såmåñdår måin,
mIl jåy gå kiñårå,
küch keh nåhi såktå..
Mil jåY gi tåbeer mery khåwåbööñ ki åik diñ,
YÅ KHÅWÅB BIKHÅR JÅEEÑ,
KÜCH KÉh ÑÅHì SÅKTÅ!:
Kamzor Badbaan.....
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !
apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain
Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain
Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain
Meri ankho may raho.....
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!
Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!
Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!
Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho
Ankhen kuab dekhti han.....
Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka
Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!